Thursday, September 10, 2009

Sher or Shayaris

Tute hue paimane mein kabhi jaam nahin aata, ishq ke mariz ko kabhi aaraam nahin aata, ae dil todne wale itna to socha hota, ki toota hua dil kisi kaam nahin aata. Mere marne ke baad mujhe jalane se pahle mere dil ko nikal lena, kahin wo bhi na jal jaaye jo is dil mein samayi rahti hai.

Yaad na karoge to satayenge, ruthoge to manayenge, royoge to hasayenge, dost hai hum saya nehi, jo andhere mein saath chor jayenge.

Dua karte hain sar zukayeDost apni har manzil ko payeAgar teri raho main kahi andhera aye to khuda roshani ke liye hame jalaye

Dosti Karna hume bhi Sikhado zara, Us Dil k Kone me humko b bithado zara, Hum tumhare dil me hai ki nahi, Zuban se na sahi SMS se to bata do jara....

Pyar main kisi ko aajmaya na karo, Dil ki baat kisi ko bataya na karo, Log muthiyon main namak liye phirte hain, Jakham har kisi ko dikhaya na karo.

Aaj socha ki jawab kya bhejun? Aap jaise dost ko khitab kya bhejun? Koi phool hota to alag baat hoti, Jo khud Guldasta hai huse Gulab kya bhejun.

4. Pehali Nazar mili to, bas tham gayi tithak kar, Dil ne kahaa ki padh le, yeh hai tera muqaddar.’

5. Mujh se achhe to hain teri rah ke pathhar sanam, Roz dikhati ho jinhe aate huye jaate huye

6. Yeh teri bhi aankhon ka kusoor hai Mai tanha gunahgar to nahi.

7. Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge ; Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah.

8. Mast nazron se dekh lena tha, Agar tamanna thi aazmane ki; Hum to behush youn hi ho jaate, Kya zaroorat thi muskurane ki.

9. Jee karta hai ki teri nili nili aankhon main dub jaoon, Jee karta hai ki teree nili nili aankhon main dub jaoon; Splash, Glug Glug, Splashhh!

10. This is the Very special one..... Before Marriage: takdir hai magar kismat nahi khulti tajmahal banana chahata hoon lekin mumtaz nahi milti After Marriage: takdir hai magar kismat nahi khulti tajmahal banana chahata hoon lekin mumtaz nahi marti.

11. Bewafa sanam se to cigrattee achi hai, Bewafa sanam se to cigrattee achi hai, Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai

12. Bhool Se Agar Koi Bhool Hui, To Bhool Samajke Use Bhool Jana, Arey Bhoolna Sirf Bhool Ko, Bhoolkar Bhi Hume Na Bhool Jana.

13. Guzare Huye Kal Ki Yaad Aati Hai, Kuch Lamho Se Aakhen Bhar Aati Hai, Woh Rangeen Shaam Nirali Doob Jati Hai; Jab Aap Jaise Dost Ki Yaad Aati Hai.......

14. kadam kadam pe hawaon se talukh rakhna, dosti ke daur pe dosti ka aasra rakhna, hamari yaadon ki khushboo jarur aayegi, aap bas apne dil ka darwaja khula rakhna.

15. Ik Din Baharon Ke Phool Murjha Jayenge, Jab Bhoole Se Kabhi Hum Yaad Aayenge, Ehsaas Hoga Tumhe Hamari Dosti Ka, Jab Door Bahut Door Hum Tumse Chale Jayenge.

16. Mat Dekh Koi Shakhs Gunehgaar Hain Kitna Yeh Dekh Tere Saath Wafadar Hain Kitna

17. Shikwa Karte Hain Zubaan Se Na Gila Karte Hain Tum Salamat Raho Bas Yehi Dua Karte Hain

18. Zara Si Roshni Milti Chiragh-e-Dil Jala Lete Nazar Ki Pyaas Bujh Jaati Ghari Bhar Muskura Lete

19. Judai Ka Pata Hota Tere Pyaar Se Pehle Marne Ki Dua Karte Tere Deedar Se Pehle

20. Mohabbat Main Dil-e-Nadaan Sukoon Paya Nahin Karte Jazbe Jin Ke Sadiq Houn Wo Ghabraya Nahin Karte

21. Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahaan Nahin Milta Kahi Zameen To Kahi AasmaaN Nahin Milta

22. Wo Kehte The Rone Se Nahin Badalte Naseeb Un Ki Is Baat Ne Umar Bhar Rone Na Diya

23. TamaaM Raat Mere Ghar Ka Ek Dar Khulla Raha Ham Rah Dekhte Rahe Wo Raasta Badal Gaya

24. Jis Ney Zindagi Ko Udhaas Kar Diya Wo Bewafa Hain To Kya,Mat Kaho Bura Us Ko Ke Jo Huwa So Huwa Khush Rakhe Khuda Us Ko

1 comments:

Anonymous said...

bhai kuchh khud ka likha hua publish karo esme to kafi kuchh humne sun rakhha hein

Post a Comment